Friday 24 June 2011

Aur bheegh gayi dharti......................

Khankhnati kaano me
kuch boonde jab girein aasmaan se
badi besabri ke baad
aaj dil khol ke akaash ne rona chaha
bheegh gayi dharti

aankhon ke aage paani ki chadar
woh sughand jis se hai barson ki pehchaan
woh goonj jise sun man ki wayatha bhi khile
har dil ko dene ke liye aaj ek mehfil
aasmaan ne aaj bahut rona chaha
aur bheegh gayi dharti

dhul gaya kai zamane se chipta hua mail
aaj man or tan dono hi saaf ho gaye
uljhano me zindagi kut rahi thi
kaale baadal aaj saare pighalne lage
aaj jab aasmaan ne rona chaha
aur fir bheegh gayi dharti

No comments: