zindagi ek mehfil
hum is ke mehmaan
zindagi ik raasta
pahunchna hai manzil hain jahan
par kya hai akhir woh manzil
koi na jaane yahan
Kabhi kaafilon me kabhi akele tanha
safar par chal pade hain sabhi
kisi ke liye bahut mushkil
kisi ka khushnuma hai karwaan
raaston ki bahut ronakein
dil me bahut hoslyein
takdeer or tadbeer se
sab jhoojh rahe hai yahan
kabhi aankhon me sapne
kabhi aansooyon ki bosharein
bheegte bhagte sab chal rahe hain kahan
ek mod pe dhehar kar dekhlein
kahin koi intezaar na karta ho wahan
safar fir yoon hi gujar jayega
humsafar mil jaaye khud hi aakar ke wahan
mat kar apni palkein tu band
dil ko dheere se khol de
dastak pe dastak de raha ho koi
na jaane kya maajra ho wahan
kis ka kahan khatam ho jaaye raasta
par jitna ho utna hi ho khushnuma
assaan hain ik raasta
mushkil doosri dagar hai
par dekhna ki kahan tere yeh kadam hain
ghul jayenge kabhi assani si kachi ret pe
pathar ban gaye to shaap reh jayegi sada
tere banaye raaste pe agar
kal kabhi koi or aayega
ik beej aisa shod de rahat to woh payega
manzil mille na mille kon jaane yahan
hum musafir hai yaaron, raasta hi manzil hai yahan
No comments:
Post a Comment