Tuesday 10 January 2012

Dastan-e-Zindagi

Main khuawabon ke peeche jaati rahi
zindagi mere piche aati rahi
Main khayalyon me lamhe bunti rahi
Lamhe mujhse toot ke aate-jaate rahe
Main raahon me ghar banati rahi
raahein thehrana chahti rahi
magar kisi rawaangi ke intezaar me
me kadmon ko aage badaati rahi
mudton ki umeedein
kahi saagar kahin boonde
yeh dastane-zindagi gungunati rahi
kabhi sailab si umad aati meri dhadkan
kabhi thum jaati jaisei raat sa sanaata
har rang me yeh zindagi
naya koi ilm mujhe sikhati rahi
na koi gila kiya
na hi ruk jaana gawaara
jaane kis pal me mera aana raha
kisi pal me main kahin door jaati rahi
mere honthon pe zindagi gungunati rahi
meri aankhon me khuwaab sajati rahi
har mod pe maine nazar ghumaayi
har mod se zindagi tohfa laati rahi
dastaane umeed liye dil me
kuch to mere takaluf me hoslon ne jagah ki
ki zindagi na jaane kis pal me
thum se aa mere dil me ghar banati rahi.................

No comments: