Sunday 30 May 2010

Hoslan

Hoslon ki baat karein hum yahan abhi
Ik shor me milti hai dabbi awaaz kahin
Shoro-gul or be-matlab ki baaton se duniya bhari
Nannah sa hoslaan bole dheeme dheeme kahin

Is bheed me har koi laga
Apne sunane apni manane
Har taraf se baaje bajane
Par samjh nahi aata ki akhir
Kya duniya kar rahi kis taraf hai chal rahi

Ik hadsa agar ho jaaye
Sab ki kalam uthe likhna shuro ho jaaye
Sabko har koi tammez seekhaye
Magar maidane jung me jo utre
Woh honslaan kahan se aaye

Samvedan or dukhi dil likhe
Samvedan or joshe-e-dil uble
Magar woh ubaal jo sadak pe utre
Rote hue zakhmi ko gale lagaye
Aankh se aankh milakar
Jo shetaan ko zameen chataye
Akhir Woh honslaan kahan se aaye

Hoslan talwar se zalim ko maarna nahi
Honsla use us ki tasveer dikhana
Hoslan ki us ki banayi kaid me usko girana
Honsla ki usse us ki kamzori batana
Honsla ki sach ko upar aur uthana

Koi pada or bahut pada
Kisi ne likha or bahut likha
Maine suna tumne suna
Maine kaha tumne kaha
Magar jo kare maidaan me hulchul
Woh hoslaan aakhir shipa kahan

Aayo use dhoonde
Aayo ki use khoje
Likhe fir har kalam us ka pata
Sune fir har koi uski dastan
Woh honsla jab mile to aise mile
Raah chalte hue har honsle se
Ik naya honsla
Ik naya hoslaan janam le.......

No comments: